dekhiye sabse pahle ye jaruri hai ki youtube kaam karta hai youtube algorithm pe or youtube algorithm kaam karta hai audience pe or audience ka data aata hai audience se ab aap kah sakte ho ki youtube algorithm hi audience hai ya algorithm hi audience mano mujhe algorithm word sahi laga to mene iska prayog kiya
youtube algorithm 2 type ka data collect karta hai pahla wo creator se data collect karta hai yani jo video upload kar raha hai dusra viewer se data collect karta hai yani jo video ko dekhne wala hai pahle yah jaan lete hai ki creator se kon kon sa data collect karta hai algorithm
creator se kon kon sa data collect karta hai youtube algorithm
youtube algorithm video dekhta hai ki video kis language me hai
kids ke liye hai ya nahi
discription me kya likha gaya hai
video ka title kya hai
video me lagaya gaya hastag video ke title se match karta hai ya nahi
video me copyright hai ya nahi
video me koi sexual part to nahi
video ki duration 60 sec se jyada hai ya kam
video ke ratio kya hai
video kaha se upload kiya ja raha hai uska ip address kya hai
galat thumbnail to nahi lagaya
video ki category kya hai or bhi bahut kuch youtube algorithm check karta hai
viewer se konsa data collect karta hai youtube algorithm
youtube algorithm dekhta hai ki konsi video ko pura dekha ya kitna dekha , video ko like ya dislike kiya ,video ka comment, search history, kis channel pe jyada time de raha hai, konse type ke channel ko subscribe kar raha hai ya search karta hai , watch history kya hai iska ,konsi language me video dekhata hai or bhi bahut kuch
ab dono taraf se data lene ke baad youtube algorithm badi aasani se jo video accha hota hai ushe audience tak pahuchata hai or jo accha nahi hota video usko kuch views par hi rok deta hai ab sawal ye uthta hai ki algorithm koi insaan to hai nah jo mere video ko dekhkar ye bata de ki isme ye kamiya thi isliye me ishe audience tak nahi pahucha raha hu or yah video mujhe aaccha laga ishliye me ishe audience tak pahucha raha hu to algorithm pata kese lagata hai ki konsi video acchi hai or konsi nahi ye janne ke liye tumhe algorithm ko samajhna padega
dosto algorithm data dekhta hai na ki hamare dwara diya gaya information
youtube ka main focus hota hai best se best video dikhana
dosto youtube ka algorithm 1 year me 200 se bhi jyada baar update ho jata hai lekin ye 3 kabhi nahi badalte
- ctr
- audience retention
- watchtime
dosto youtube algorithm mota mota in teeno par hi kaam karta hai
Ab ham in teeno Ko detail mein samjhege ki ye teeno kaam kese karte hain
ctr kya hota hai kese improve kare
dosto aapne Kahi bar Suna hoga ki ctr high kar lo Ctr high kar lo lekin yah CTR hai kya
Doston CTR ka matlab hota hai click through rate CTR yah pata lagata hai ki jab tumhari video ko audience ke samne dikhaya jata hai to vah is per click karta hai ya nahin
doston ek example se samjho man Lo Tum ek video YouTube per upload karte ho aur YouTube tumhare thumbnail ko 100 logon Tak dikhata hai lekin click sirf 8 bar huaa to tumhari video ka CTR hua 8 percent agar YouTube ke pass 2 video aata hai ek video ka CTR 8% hai aur dusri video ka CTR 20 percent hai ab aap hi batao video CTR ke base per kis video ko jyada promote Karega simple hai 20 percent Wale Ko kyunki log is video per jyada click kar rahe hain
Ab ek sawal aapke man mein jarur aaraha hoga ki Kitna CTR aane per video viral ho jata hai ish per YouTube ne to koi number diya nahi ki 8% aur 20% per tumhari video viral jayegi lekin fir bhi agar main apni search ke basis se bataun to generally maximum video ka CTR 2 percent se 10 percent ke range mein hi rahata hai aur agar tumhara channel naya hai to koshish karo ki tumhare channel ka CTR 10% se jyada ho
or ha doston tumhari video jitni viral hoti jayegi CTR utna hi Kam hota jayega viral video ka CTR dekhkar Tum Dar mat Jana ki Ctr kam ho gaya to doston aapko Ctr acche se samajh mein aaGaya hoga ki ctr kya hai
audience retention kya hai
Doston man Lo tumhari video ka duration 10 minut hai yani tumhari video 10 minut lambi hai aur agar koi Insan ush video ko 5 minute Tak dekhta hai or band kar deta hai to hamari video ka audience retention hoga 5 Bata 10 yani ki 50%
to ab tumhari video ko koi ek Insan to dekhega nahin to man Lo tumhare video ko 10 log dekhte hain teen ne ful watch Kiya aur vahi 7 logon ne tumhari video ko 2-2 minute dekh kar band kar diya to tumhari video ka audience retention nikalne ke liye YouTube 3 * 10 Karega yani ki 30 2 *7 yani ki 14 total 44 ko 100 se divide Karega jiska total aaega 44
per jitna jyada audience retention hoga video utna hi viral hota jaega again roll to isme bhi vahi hai ki ishe bhi improve karo yani ki badhao YouTube mein koi number to Diya nahin ki 40% per video viral jayegi ya 60% per agar research ke hisab se bataen to aapka video shuru ke 24 ghanto mein audience retention 40 se 45 percent se jyada hona hi chahie agar tumhari video ka audience retention 40% se kam hai to video ko improve karo
audience retention kam hone ka Karan hai apne subscribe se Jo promise karte ho vah pura nahi kar pa rahe ho agar blog or comedy wale channel ko dekhoge to UN sab ka audience retention 60 se 80 percent Tak chala jata hai kyunki in sab Ko dekhkar audience ko maja aata hai aur vo video ko bar bar dekhte hai wahi tutorial wali video mein 40 percent audience retention Lana bhi bahut mushkil ho jata hai aur aapko pata hi hoga ki yesa kyon hota hai kyunki aise video naye logon Tak jyada jaate Hain or ek baat ki video jitni lambi hogi audience retention utni hi kam hogi
Yadi aapka video do minut ki duration Tak ka hai to audience retention 70% Tak aasani se ho sakta hai vahi 30 minut ki video per 50 percent ki audience retention Lana bhi bahut mushkil hota hai doston podcast video Jo 1 se 2 ghante Tak ke hote Hai UN per 30% Tak bhi audience retention nahin aapata hai
CTR audience retention per koi rule to nahi hai ki itna aane per hi video viral Kiya jayega lekin yah channel per depend karta hai ki tumhari CTR acchi hai ya nahin audience retention accha hai ya nahi bus jitna ho sake utna inhe improve karo koshish yah karo ki main apni video per Apne audience ko jyada se jyada kaise rok sakta hun main kaise unki samasya ko suljha sakta hun kaise unka Manoranjan kar sakta hun aap jis bhi field mein ho ush mein aap improve karo
Apni video ki quality per Dhyan do kyunki aaj ka samay 2024 hai aur log quality content ko jyada pasand karte Hain apni voice ko jitna achcha ho sake utna rakho jitna jyada improve kar Sako utna jyada karo noise free voice per jyada Dhyan do aajkal Kai yese tools Hain jo aapko noise aasani se remove karke de dete Hai
Agla aata Hai doston background music yadi mujhse koi puche ki jyadatr categories me hamari video ko interesting banane ke liye sabse jyada kiska hath hoga to vah hoga hamare voice se match hone wale Sahi background music ka kyunki Bina background music ke video yesi lagti Hai Jese Bina Namak ke sabji
Aap background music copyright free aasani se dhundh sakte ho bus aapko Google per search karna hai background music free no copyright ya copyright free background music Bus itna search karte hi aapke samne kayi copyright free website aajayegi aap inme se copyright free music download karke apni video mein istemal kar sakte hain
Kuch website credit mangti hai to aap video ke discription mein unka credit de sakte hain
use transaction to improve youtube algorithm
transaction dosto jyadatar category mein transaction bahut jyada jaruri ho jata hai jo aapki video ko improve karta hai jyadatar category me audience retention ko badhane me ye bahut mayne rakhta hai
To koshish karen ki acche acche transaction use Karen
use sound effect to improve youtube algorithm
sound effect hamari video ko improve kar dete hai aapne dekha hoga ki kai youtuber apni videos me tarah tarah ke sound effect bich bich me use karte hai ish se unka video aakarshak lagta hai to video me sound effect jarur use kare aapko Google par kai copyright free sound effect mil jayenge
create best Thumbnail to improve youtube algorithm
ha dosto bilkul sahi padha aapne video me thumbnail ka bahut bada roll hota hai dosto jab aap apna youtube open karte ho to aap dekhte ho ki aapke samne tarah tarah ke video samne aate hai or un videos pe lage acche acche thumbnail aapse 1 baar to click karwa hi lete hai ha dosto thumbnail video me bahut bada roll rakhte hai to aap bhi kosis kare ki thumbnail yese banaye jaye jo logo ko aapki video per aakarshit kare 1 baar to click karwa ke hi mane or yakin mano dosto yadi aap sabhi tips ko follow karte ho to aapki videos ko viral hone se koi nahi rok sakta
to aasha karte hai ki aapko youtube algorithm pe ye artical pasand aaya hoga dosto yadi pasand aaye to hame jarur follow kare or like or share karna na bhule milte hai ak or informative artical me